Best, Largest and Original collection of urdu, english and hindi shayari and poetry posted by Wasi Shah.

Wasi Shah Shayari & Poetry

Wasi Shah is a renowned Pakistani poet known for his romantic and heart-touching poetry. His unique style of expression has captured the hearts of poetry lovers all over the world. He has published several collections of his poetry, including "Mujhe Sandal Kar Do" and "Ankhain Bheeg Jati Hain." Wasi Shah's poetry is characterized by his use of simple yet powerful words that convey deep emotions and sentiments. His work has been widely appreciated for its beauty, depth, and sincerity. His popularity has led to numerous TV appearances and collaborations with other artists. Wasi Shah's contribution to the world of Urdu poetry has earned him a well-deserved place among the most respected and beloved poets of his generation.

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga,

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hee Duniya Ka Kinara Hoga,

Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Yeh Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,

Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi
Kis Tarha Uske Begair Guzara Hoga,

Yeh Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukaara Hoga,

Ishq Karna Hai Toh Din Raat Ussey Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,

Yeh Jo Pani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
Usne Dariya Mein Kahin Paun Utara Hoga,

Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sanaton Mein
Mere Jaisa Hee Koi Hijr Ka Maara Hoga,

Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

Jo Meri Rooh Mein Baadal Se Garajte Hain WASI
Usne Seene Mein Koi Dard Utara Ho Ga,

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hee Lunga Usko
Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga

English
102 Views

Hum Haseen Hone Ka Dawa Toh Nahi Karte Wasi Magar

Hum Haseen Hone Ka Dawa Toh Nahi Karte Wasi Magar,
Jissey Aankh Bhar Kar Dekh Lein Uljhan Mein Daal Dete Hain

ہم حسین ہونے کا دعویٰ تو نہیں کرتے وسی مگر
جسے آنکھ بھر کر دیکھ لیں اُلجھن میں ڈال دیتے ہیں

English Urdu
110 Views
 intezar poetry  mehboob poetry  milna poetry  mulaqat poetry  rooh poetry  wasi shah poetry   intezar shayari  mehboob shayari  milna shayari  mulaqat shayari  rooh shayari  wasi shah shayari    Urdu poetry in english. Urdu poetry in hindi.

Kaun Kehta Hai Mulaqat Meri Aaj Ki Hai

Kaun Kehta Hai Mulaqat Meri Aaj Ki Hai
Tu Meri Rooh k Andar Hai Kai Sadiyon Se

کون کہتا ہے ملاقات مری آج کی ہے
تو مری روح کے اندر ہے کئی صدیوں سے

कौन कहता है मुलाक़ात मिरी आज की है
तू मिरी रूह के अंदर है कई सदियों से

English Urdu Hindi
247 Views
 dard poetry  dil poetry  judai poetry  khabar poetry  takleef poetry  wasi shah poetry  yaad poetry   dard shayari  dil shayari  judai shayari  khabar shayari  takleef shayari  wasi shah shayari  yaad shayari   Dard poetry  Dil poetry  Yaad poetry   Dard shayari  Dil shayari  Yaad shayari  Urdu poetry in english. Urdu poetry in hindi.

Muje Khabar Thi K Ab Laut Kar Na Aunga

Muje Khabar Thi K Ab Laut Kar Na Aunga
So Tujh Ko Yaad Kiye Dil Pe Vaar Karte Hue

مجھے خبر تھی کہ اب لوٹ کر نہ آؤں گا
سو تجھ کو یاد کیا دل پہ وار کرتے ہوئے

मुझे ख़बर थी कि अब लौट कर न आऊँगा
सो तुझ को याद किया दिल पे वार करते हुए

English Urdu Hindi
110 Views
 aankhen poetry  aansu poetry  dard poetry  dil poetry  hasi poetry  hukumat poetry  mausam poetry  takleef poetry  wasi shah poetry  yaad poetry   aankhen shayari  aansu shayari  dard shayari  dil shayari  hasi shayari  hukumat shayari  mausam shayari  takleef shayari  wasi shah shayari  yaad shayari   Aankhen poetry  Aansu poetry  Dard poetry   Aankhen shayari  Aansu shayari  Dard shayari  Urdu poetry in english. Urdu poetry in hindi.

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
“Wasi” Mai Jab Bhi Hansta Hun To Ankhen Bheeg Jaati hain

ہزاروں موسموں کی حکمرانی ہے مرے دل پر
وصیؔ میں جب بھی ہنستا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

हज़ारों मौसमों की हुक्मरानी है मिरे दिल पर
‘वसी’ मैं जब भी हँसता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं

English Urdu Hindi
154 Views