Welcome to the mesmerizing world of Husn Shayari and Poetry! Husn, which means beauty, is a theme that has captivated poets for centuries. From describing the physical beauty of a beloved to celebrating the beauty of nature, Husn Shayari and Poetry encompasses a wide range of emotions and experiences. Our collection features some of the most exquisite and enchanting verses that celebrate the beauty of life, love, and everything in between. So, whether you're a poetry enthusiast or simply someone who appreciates the finer things in life, our Husn Shayari and Poetry collection is sure to leave you spellbound.
Tumhare Husn Per Ghazal Likhni Hai
Tumhare Husn Per Ghazal Likhni Hai,
Jao Shabash Munh Dhoo K Aao
Meri Nigah e Mohabbat Ka Intikhab Ho Tum
Meri Nigah e Mohabbat Ka Intikhab Ho Tum,
Chaman Mein Phool Bahut Hain Magar Gulab Ho Tum
Hamara Apna Mayaar Hai Sahab
Hamara Apna Mayaar Hai Sahab,
Tum Haseen Ho Toh Kya Karein
Hum Koi Yousaf Saani Toh Nahi Hain Phir Bhi
Hum Koi Yousaf Saani Toh Nahi Hain Phir Bhi,
Jaa Baja Sheher Mein Bazaar Se Lag Jaate Hain
Tera Deedar Hee Aankhon Ki Tilawat Tehra
Tera Deedar Hee Aankhon Ki Tilawat Tehra,
Yeh Mera Ishq Hai Muqadas Ibadat Jaisa
Teri Surat Se Hai Aalam Mein Baharon Ko Sabaat
Teri Surat Se Hai Aalam Mein Baharon Ko Sabaat,
Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kya Hai
تیری صورت سے ہے عالم میں بہاروں کو ثبات
تیری آنکھوں کے سوا دنیا میں رکھا کیا ہے
Ishq Ka Apna Garoor, Husn Ki Apni Anaa
Ishq Ka Apna Garoor, Husn Ki Apni Anaa
Ussey Aaya Na Gaya, Hum Se Bhulaya Na Gaya
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta, Har Kisi Ki Nazar
Husn Sab Ko Khuda Nahi Deta,
Har Kisi Ki Nazar Nahi Hoti
Husn e Mujassam Ho Ya Saanwali Si Surat
Husn e Mujassam Ho Ya Saanwali Si Surat,
Ishq Agar Rooh Se Ho Toh Har Roop Ba Kamal Dikhta Hai
Hum Apna Ishq Chamkaye, Tum Apna Husn Chamkayo
Hum Apna Ishq Chamkaye, Tum Apna Husn Chamkayo
Ke Heraan Dekh Kar Aalam Humein Bhi Ho Tumhe Bhi Ho