Tanha Shayari, or "lonely poetry" in English, is a form of Urdu poetry that explores the emotions of solitude and isolation. It is a deeply personal and introspective genre that often speaks to the human experience of feeling disconnected from others. With its poignant and evocative language, Tanha Shayari offers a powerful means of expressing the complexities of loneliness and the search for connection. In this article, we will explore the world of Tanha Shayari and discover some of its most notable poets and works, providing insight into this timeless and deeply resonant genre.
Yun Toh Kehne Ko Bahut Log Hain Shanasaa Mere
Yun Toh Kehne Ko Bahut Log Hain Shanasaa Mere,
Kahan Le Jaoon Ae Dil Tanha Mere
Saari Hadhein Dard Ki Paar Kar Dete Hain
Saari Hadhein Dard Ki Paar Kar Dete Hain,
Teri Yaad Aur Tanhai Jab Mil Beth’te Hain
Ussey Labha Na Saka Mere Baad Ka Mausam
Ussey Labha Na Saka Mere Baad Ka Mausam,
Bahut Udhaas Laga, Khaal o Khad Sanwar Ke Bhi
Tujh Pe Khul Jaati Meri Rooh Ki Tanhai Bhi
Tujh Pe Khul Jaati Meri Rooh Ki Tanhai Bhi,
Meri Aankhon Mein Kabhi Jhank Ke Dekha Hota
تُجھ پہ کُھل جاتی میری روح کی تنہائی بھی
میری آنکھوں میں کبھی جھانک کے دیکھا ہوتا
Neend Aayi Na Raat Bhar Mujhko, Khawab Bethey
Neend Aayi Na Raat Bhar Mujhko,
Khawab Bethey Rahe Qataron Mein
Mujhe Acha Sa Lagta Hai Apni Zaat Mein Rehna
Mujhe Acha Sa Lagta Hai Apni Zaat Mein Rehna,
Mujhe Bhaata Nahi Logon Se Shanasaai Karna
Woh Dil Kahan Se Laun Teri Yaad Jo Bhoola De
Woh Dil Kahan Se Laun Teri Yaad Jo Bhoola De,
Mujhe Yaad Aane Wale, Koi Rasta Toh Bata Dey
Woh Ishq Jo Hum Se Rooth Gaya, Ab Uska
Woh Ishq Jo Hum Se Rooth Gaya,
Ab Uska Haal Batayein Kia ?
Ek Aag Gham e Tanhai Ki
Jo Saare Badan Mein Phail Gayi,
Jab Jism Hee Saara Jalta Ho,
Phir Daman e Dil Ko Bachayein Kia
Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Kar Usko
Khamosh Reh, Tanha Baith, Yaad Kar Usko
Tu Ne Ishq Kia Hai, Gunaah Chota Nahi Tera
Bikheri Kitabein, Bheegay Auraaq Aur Yeh Tanhai
Bikheri Kitabein, Bheegay Auraaq Aur Yeh Tanhai,
Kahun Kaise Ke Mila Mohabbat Mein Kuch Bhi Nahi
Tazdeeq Iss Karam Ke Main Kabhi Tanha Nahi Rehta
Tazdeeq Iss Karam Ke Main Kabhi Tanha Nahi Rehta,
Ke Jis Din Tum Nahi Aate Tumhari Yaad Aati Hai
Tanhai Mein Karni Toh Hai Ik Baat kisi Se
Tanhai Mein Karni Toh Hai Ik Baat kisi Se,
Lekin Woh Kisi Waqt Akela Nahi Hota
Raat Ki Tanhai Mein Akser Yeh Sochta Rehta Hun
Raat Ki Tanhai Mein Akser Yeh Sochta Rehta Hun,
Mohabbat Dua Hai, Saza Hai, Jaza Hai Ya Gunaah Hai
Badal Jaate Hain Log Tanhaiyon Mein Akser
Badal Jaate Hain Log Tanhaiyon Mein Akser,
Mohabbat Karke Bhi Kisi Se Jab Wafa Nahi Milti
Aaj Phir Se Teri Yaad Mein Hun, Aa Dekh
Aaj Phir Se Teri Yaad Mein Hun,
Aa Dekh ! Main Kis Haal Mein Hun