Zindagi Shayari and poetry are a beautiful way to express the ups and downs of life in a poetic form. These Shayaris and poems capture the essence of life's various emotions, such as love, happiness, pain, and struggle. With its compelling and relatable verses, Zindagi Shayari and poetry have become a popular genre among poetry lovers worldwide. Whether you're looking for inspiration, comfort, or just something to reflect on, Zindagi Shayari and poetry have something for everyone. So, delve into the world of Zindagi Shayari and poetry and experience the beauty of life in verse.
Ek Mohabbat Ka Mashgala Le Kar, Zindagi Khoob
Ek Mohabbat Ka Mashgala Le Kar,
Zindagi Khoob Ki Tabah Hum Ne
Jahan Se Tera Jee Chahey Meri Kutab e Zindagi Parh Le
Jahan Se Tera Jee Chahey Meri Kutab e Zindagi Parh Le,
Safaa Chahey Koi Bhi Khulay, Naam Tera Hee Likha Hoga
Poochte Kya Ho Zindagi Ka Ae Mohtaram
Poochte Kya Ho Zindagi Ka Ae Mohtaram,
Mujh Pe Guzari, Guzaar Dee Maine
Hai Tabassum Hamare Lub Pe Abhi
Hai Tabassum Hamare Lub Pe Abhi,
Hum Kahan Zindagi Se Haare Hain
Tum Aankhen Mond Ke Pi Jao Zindagi Qaiser
Tum Aankhen Mond Ke Pi Jao Zindagi Qaiser,
Ke Aik Ghunt Mein Mumkin Hai, Badmaza Na Lage
تم آنکھیں موند کے پی جاؤ زندگی قیصر
کہ ایک گھونٹ میں ممکن ہے، بدمزہ نہ لگے
Zindagi Aa Tujhe Qatil K Hawale Kardun
Zindagi Aa Tujhe Qatil K Hawale Kardun,
Mujh Se Ab Khoon Tamana Nahi Dekha Jaata
Hain Pareshaniyan Yun Toh Bahut Zindagi
Hain Pareshaniyan Yun Toh Bahut Zindagi Mein,
Teri Mohabbat Sa Magar Koi Tang Nahi Karta
Zaruri Hai Toh Bahut Zindagi Mein Ishq Magar
Zaruri Hai Toh Bahut Zindagi Mein Ishq Magar,
Yeh Jaan Leva Zarurat Khuda Kisi Ko Na De
Hasratein Hasratein Hee Rahee, Aur Zindagi
Hasratein Hasratein Hee Rahee,
Aur Zindagi Ikhtetam Ko Ponchi
Zindagi Cheek Ban Gayi Meri, Dard Aese
Zindagi Cheek Ban Gayi Meri,
Dard Aese Ulajh Para Mujhse
Maine Bhi Badal Diye Hain Asool e Zindagi
Maine Bhi Badal Diye Hain Asool e Zindagi,
Ab Jo Yaad Karega Wohi Yaad Rahega
Jeena Toh Parega Faqt Duniya Ko Dekhane Ke Liye
Jeena Toh Parega Faqt Duniya Ko Dekhane Ke Liye,
Warna Hum Ne Kab Chahi thi Uske Bina Zindagi
Aik Lafz Jissey Log Zindagi Kehte Hain
Aik Lafz Jissey Log Zindagi Kehte Hain,
Iss Hee Naam Se Tumhe Rakha Hai Apne Dil Mein
Arey Sahab! Yeh Kahan Ki Aqalmandi Hai
Arey Sahab! Yeh Kahan Ki Aqalmandi Hai,
Mohabbat Ke Juwe Mein Zindagi Haar De Koi
Mohabbat Mein Kisi Ka Intezar Na Karna
Mohabbat Mein Kisi Ka Intezar Na Karna
Gar Ho Sake Toh Kisi Se Pyar Na Karna,
Kuch Nahi Milta Kisi Se Mohabbat Kar Ke
Khud Ki Zindagi Iss Per Bekar Na Karna