altaf hussain hali poetry  dua poetry  ghazal poetry  ishq poetry  two line poetry  zuban poetry   altaf hussain hali shayari  dua shayari  ghazal shayari  ishq shayari  two line shayari  zuban shayari   Dua poetry  Ghazal poetry  Ishq poetry   Dua shayari  Ghazal shayari  Ishq shayari  Urdu poetry in english. Urdu poetry in hindi.

Hum Jis Pe Mar Rahe Hain Woh Hai Baat

Hai Justuju ke ḳhoob se hai ḳhub-tar kahan
Ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
Hain daur e jam e avval e shab mein ḳhudi se duur
Hoti hai aaj dekhiye hum ko sahar kahan
Ya Rab is iḳhtilat ka anjam ho ba-ḳhair
Tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan
Ek umer chaiye ke gavara ho nish-e-ishq
Rakhi hai aaj lazzat-e-zaḳham-e-jigar kahan
Bus ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka
Khat ka mire jawab hai ai nama-bar kahan
Kaun o makan se hai dil-e-vahshi kinara-gir
Is ḳhanuman-ḳharab ne Dhunda hai ghar kahan
Hum jis pe mar rahe hain woh hai baat hee kuch aur
Aalam mein tujh se laakh sahee tu magar kahan
Hoti nahi qabool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
Hali nashat-e-naġhma-o-mai Dhundhte ho ab
Aaye ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan