Hum Sune Aur Sunaye Jaate Thay, Raat

Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum

Ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum

Jaane ham kis ki bo-ud ka thay saboot
jaane kis ki nishaniyan thay hum

chhorte kyun na hum zameen apnī
aḳhirash asmaniyan thay hum

zarra bhar bhī na thi numud apni
aur phir bhī jahaniyan thay hum

hum na thay ek aan ke bhi magar
javedan javidaniyan thay hum

rose ik ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan thay hum

arġhavani tha vo piyala-e-naf
hum jo thay urġhavaniyan thay hum

nar-e-pistan thī vo qattala
aur havas-darmiyaniyan thay hum

na-gahan thi ik aan aan ki thi
hum jo thay nagahaniyan thay hum