Aankhen “Black And White” Hain Toh Phir Inn Mein,
Rang Barange Khawab Kahan Se Aate Hain
Aankhen “Black And White” Hain Toh Phir
آنکھیں ’ بلیک اینڈ وائٹ ‘ ہیں تو پھر ان میں
رنگ برنگے خواب خواب کہاں سے آتے ہیں
Aankhon Ki Iddat Abhi Poori Nahi Hoti
Aankhon Ki Iddat Abhi Poori Nahi Hoti,
Ke Aik Aur Khawab Kafan Orrh Leta Hai
آنکھوں کی عدت ابھی پوری نہیں ہوتی
کہ ایک اور خواب کفن اُوڑھ لیتا ہے
Aankhon Ko Apni Band Na Kar Loon Toh Kya Karoon
Aankhon Ko Apni Band Na Kar Loon Toh Kya Karoon,
Ab Dekhna Hee Kya Hai Tujhe Dekhne Ke Baad
Ab Chor Diya Hai Ishq Ka School Hum Ne Bhi
Ab Chor Diya Hai Ishq Ka School Hum Ne Bhi,
Hum Se Ab Mohabbat Ki Fees Adaa Nahi Hoti
Acha Kia Tum Ne Jo Dil Tor Diya Mera
Acha Kia Tum Ne Jo Dil Tor Diya Mera,
Iss Dil Ne Tujhe Chaha, Chahat Ki Saza Paayi
Adaye ishq hoo pori aana ke sath hoon mein
Adaye ishq hoo pori aana ke sath hoon mein
khud apne sath yani khuda ke sath hoon mein
ادائے عشق ہوں پوری انا کے ساتھ ہوں میں
خود اپنے ساتھ ہوں یعنی خدا کے ساتھ ہوں میں
Adhure Khawab Ke Ander Kabhi Palkein Bichana Mat
Adhoore Khawab Ke Ander Kabhi Palkein Bichana Mat
Adhoore Khawab Aankhon Ko Bahut Takleef Dete Hain
ادھورے خواب کے اندر کبھی پلکیں بچھانا مت
ادھورے خواب آنکھوں کو بہت تکلیف دیتے ہیں
Andaz-e-bayan Garche Bahut Shauq Nahi
Andaz-e-bayan Garche Bahut Shauq Nahi Hai,
Shayad Ke Utar Jaye Tere Dil Mein Meri Baat
انداز بیاں گرچہ بہت شوخ نہیں ہے
شاید کہ اتر جائے ترے دل میں مری بات
अंदाज़-ए-बयाँ गरचे बहुत शोख़ नहीं है
शायद कि उतर जाए तिरे दिल में मिरी बात
Ander Aesa Habas Tha Maine Khol Diya
Ander Aesa Habas Tha Maine Khol Diya Darwaza,
Jisne Dil Se Jaana Hai Woh Khamoshi Se Jaye
اندر ایسا حبس تھا، میں نے کھول دیا دروازہ
جس نے دل سے جانا ہے وہ خاموشی سے جائے
Andheron Ka Musafir Tha, Roshni Se
Andheron Ka Musafir Tha
Roshni Se Guzarta Kyun
Gham Uski Manzil Thi
Khushiyon Mein Utarta Kyun
اندھیروں کا مسافر تھا
روشنی سے گزرتا کیوں
غم اُس کی منزل تھی
خوشیوں میں اترتا کیوں
Ankhein bohot khubsoorat hain
آنکھیں بہت کھوبصورت ہیں
مگر یہ کہتے ہیں کہ دل کے دیوار پتھر کی ہوتی ہیں
Ankhein bohot khubsoorat hain
Magar yeh kehtay hain ke dil ke deewar patthar ki hoti hain
The eyes are very beautiful
But they say that the walls of the heart are made of stone.
आँखें बहुत खूबसूरत हैं
मगर ये कहते हैं कि दिल के दीवार पत्थर की होती हैं
Apna Toh Kisi Tor Guzar Jayega Yeh Din
Apna Toh Kisi Tor Guzar Jayega Yeh Din,
Tum Jissey Milo Aaj Ussey, Eid Mubarak
Apne Ehsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar
Apne Ehsas Se Chu Kar Mujhe Sandal Kar Do
Me K Sadiyon Se Adhoora Hun Mukamal Kar Do
اپنے احساس سے چھو کر مجھے صندل کر دو
میں کہ صدیوں سے ادھورا ہوں مکمل کر دو
Apni Hasi Se Laga Le Andaza Mere Dard Ka Abbas
Apni Hasi Se Laga Le Andaza Mere Dard Ka Abbas,
Zaruri Toh Nahi Tere Har Sitam Ka Hawalah Mei Zuba’n Se Ho
Arey Sahab! Yeh Kahan Ki Aqalmandi Hai
Arey Sahab! Yeh Kahan Ki Aqalmandi Hai,
Mohabbat Ke Juwe Mein Zindagi Haar De Koi