Best, Largest and Original collection of shayari and poetry in urdu, english and hindi.

Black suit poetry

Insha Ji Utho Ab Kuch Karo Poetry and Lyrics

Insha ji! Utho! ab kooch karo, is sheher mein ji ka lagana kya.
Wehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.
Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huye us jholi ko phailana kya.
Shab beeti, chand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.
Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.
Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.
Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Deewano ki si na baat kare, to aur kare deewana kya.

English
160 Views

Yeh Ishq Nahi Aasan Poetry – Yeh Ishq Nahi Aasan Shayari

Yeh Kiska Tasawar Hai, Yeh Kiska Fasana Hai,
Jo Ashk Hai Aankhon Mein Tasbih Ka Dana Hai

Aankhon Mein Nami Si Hai Chup Chup Se Woh Baithe Hain,
Nazuk Si Nigaahon Mein Naazuk Sa Fasana hai

Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna Toh Samajh Lijiye,
Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai

Yaa Woh Thay Khafa Hum Se Ya Hum Thay Khafa Unse,
Kal Unka Zamana Tha Aaj Apna Zamana Hai
 
Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hai
Kaghaz Ki Haveli Hai Barish Ka Zamana Hai
Kya Shart e Mohabbat Hai Kya Shart e Zamana Hai
Awaaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana Hai
Us Per Utarnay Ki Umeed Bohat Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Ko Bhi Aana Hai
Samjhay Ya Na Samjhay Wo Andaaz Mohabbat Ka
Aik Shakhs Ko Aankho Se Aik Shair Sunana Hai
Yeh Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Lijiye
Aik Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Kar Jana Hai

English
375 Views