Aadat Shayari and Poetry explore the theme of habits and routines. These poems often touch upon the idea of how our habits shape our lives and the beauty of breaking free from them. Aadat Shayari is popular among people who seek to cultivate positive habits and let go of negative ones. These poems can be both motivating and inspiring, making them perfect for those who seek to connect with the beauty of self-improvement.
Karega Hamari Bhi Kadar Zamana Aik Din
Karega Hamari Bhi Kadar Zamana Aik Din,
Bus Wafa Ki Buri Aadat Choot Jaane Doh
Aaj Bhi Aadaton Mein Awal Hai, Tere Kuchey
Aaj Bhi Aadaton Mein Awal Hai,
Tere Kuchey Se Ho Ke Ghar Jaana
Haseen Aankhon Ko Parhne Ka Abhi Tak Shauq Hai Mujhe
Haseen Aankhon Ko Parhne Ka Abhi Tak Shauq Hai Mujhe,
Mohabbat Mein Ujar Kar Bhi Meri Aadat Nahi Badli
حسین آنکھوں کو پڑھنے کا ابھی تک شوق ہے مجھے
محبت میں اجڑ کر بھی میری عادت نہیں بدلی
Aadat Ke Baad Dard Bhi Dene Laga Maza
Aadat Ke Baad Dard Bhi Dene Laga Maza,
Hans Hans Ke Aah Aah Kiye Jaa Raha Hun Main
Yeh Na Samjho Ke Humein Tumse Mohabbat Nahi
Yeh Na Samjho Ke Humein Tumse Mohabbat Nahi,
Humein Toh Aadat Hai Bus Khamosh Rehne Ki
Yeh Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein
Yeh Dil Bhulata Nahi Hai Mohabbatein Uski,
Pari Huyi Thien Mujhe Kitni Aadatein Uski
Kuch Unki Wafaon Ne Luta, Kuch Unki Inayat Maar Gayi
Kuch Unki Wafaon Ne Luta, Kuch Unki Inayat Maar Gayi,
Hum Raaz e Mohabbat Keh Na Sake, Chup Rehne Ki Aadat Maar Gayi
Sheher Bhar Mein Aik Hee Pehchan Hai Hamari
Sheher Bhar Mein Aik Hee Pehchan Hai Hamari,
Surkh Aankhen, Bikheri Zulfein, Udas Chehra Nawab Aadat
Nafrat Bhi Karoge Toh Aaungi Tere Paas
Nafrat Bhi Karoge Toh Aaungi Tere Paas,
Dekh Tere Begair Rehne Ki Aadat Nahi Mujhe
Aadatein Mukhtalif Hain Hamari Duniya Walon Se
Aadatein Mukhtalif Hain Hamari Duniya Walon Se,
Kam Mohabbat Karte Hain Per Lajawab Karte Hain
Jin Aankhon Ko Sajdon Mein Rone Ki Aadat Ho
Jin Aankhon Ko Sajdon Mein Rone Ki Aadat Ho,
Woh Aankhen Kabhi Apne Muqaddar Per Roya Nahi Kartien
جن آنکھوں کو سجدوں میں رونے کی عادت ہو
وہ آنکھیں کبھی اپنے مقدر پر رویا نہیں کرتیں
Mere Saath Chalna Hai Toh Dard Sehne Ki Aadi Ban Jao
Mere Saath Chalna Hai Toh Dard Sehne Ki Aadi Ban Jao,
Mera Mashgala Hai Kaanton Se Khelna Aur Tum Abhi Phool Jaisi Ho
Chahat, Fikar, Taqdeer, Ishq o Mohabbat Aur Wafa
Chahat, Fikar, Taqdeer, Ishq o Mohabbat Aur Wafa,
Meri Inhi Aadaton Ne, Mera Tamasha Bana Diya
Bhulkar Humein Agar Tum Rehte Ho Salamat
Bhulkar Hamein Agar Tum Rehte Ho Salamat
Toh BhulKe Tumko Sambhlna Humein Bhi Aata Hai
Meri Fitrat Mein Yeh Aadat Nahi Hai Varna
Teri Tarah Badal Jana Humein Bhi Aata Hai
بھول کر ہمیں اگر تم رہتے ہو سلامت
تو بھول کہ تم کو سمبھلنا ہمیں بھی آتا ہے
میری فطرت میں یہ عادت نہیں ہے ورنہ
تیری طرح بدل جانا ہمیں بھی آتا ہے
भूलकर हमें अगर तुम रहते हो सलामत
तो भूलके तुमको संभलना हमें भी आता है
मेरी फ़ितरत में ये आदत नहीं है वरना
तेरी तरह बदल जाना हमें भी आता है।
Kabhi Toh Baksh Dey Khairat Usko Chahat Ki
Kabhi Toh Baksh Dey Khairat Usko Chahat Ki
Woh Badshah Jo Tere Sahilon Mein Rehta Hai
کبھی تو بخش دے خیرات اس کو چاہت کی
وہ بادشاہ جو تیرے سائلوں میں رہتا ہے