Aansu Shayari and Poetry is a genre of literature that explores the theme of tears and emotions. These poems and shayaris are written in various languages, including Urdu and Hindi, and often feature evocative imagery and metaphors that depict the depth and intensity of human emotions. Aansu Shayari and Poetry can be a source of comfort and solace for those who are experiencing sadness or grief or as a reminder of the importance of expressing one's emotions.
Dard Hadhon Ko Choo Jaye Toh, Aankh Mein
Dard Hadhon Ko Choo Jaye Toh,
Aankh Mein Aansu Jam Jaate Hain
Kaash Tu Meri Aankhon Ka Aansu Ban Jaye
Kaash Tu Meri Aankhon Ka Aansu Ban Jaye,
Main Rona Chor Dun Tujhe Khone Ke Darr Se
Aansu, Aahain, Tanhai, Veerani Aur Gham e Musalsal
Aansu, Aahain, Tanhai, Veerani Aur Gham e Musalsal,
Ek Zara Sa Ishq Hua Tha, Kya Kya Virasat Mein De Gaya
Aahein
Khud Pe Beeti Toh Rote Ho, Tarapte Ho, Sisakte Ho
Khud Pe Beeti Toh Rote Ho, Tarapte Ho, Sisakte Ho,
Hum Ne Jo Kia Tha Woh Kya Ishq Nahi Tha ?
Hum Ne Ishq Mein Aesi Bhi Guzari Hain Raatein
Hum Ne Ishq Mein Aesi Bhi Guzari Hain Raatein,
Jab Tak Aansu Na Bahe Dil Ko Araam Na Aaya
Chalo Acha Hua Eid Ab Ke Bhi Tanha Guzar Gayi
Chalo Acha Hua Eid Ab Ke Bhi Tanha Guzar Gayi,
Gale Mil Ke Bahut Rote Jo Tum Aa Jaate
Jab Bikhare Ga Tere Ruksaar Pe Teri Aankh Ka Pani
Jab Bikhare Ga Tere Ruksaar Pe Teri Aankh Ka Pani,
Tujhe Ehsas Tab Hoga Mohabbat Kissay Kehte Hain
Iss Dard e Dil Ka Humein Pata Na Tha
Iss Dard e Dil Ka Humein Pata Na Tha
Aayeinge Aansu Aankhon Mein Yeh Pata Na Tha,
Woh Toh Chale Gaye Bhool Ke Hum Ko
Hum Uske Bin Jee Na Payeinge Yeh Pata Na Tha
Unko Paas Wafa Agar Hota, Aankh Meri Bhi
Unko Paas Wafa Agar Hota,
Aankh Meri Bhi Tar Nahi Hoti
اُن کو پاس وفا اگر ہوتا
آنکھ میری بھی تر نہیں ہوتی
Tum Yaad Bhi Aao Toh Chup Rehte Hain
Tum Yaad Bhi Aao Toh Chup Rehte Hain,
Ke Aankhon Ko Khabar Huyi Toh Baras Jayeingi
تم یاد بھی آؤ تو چُپ رہتے ہیں
کہ آنکھوں کو خبر ہوئی تو برس جائیں گی
Ab Main Samjha Uski Chamakti Huyi Aankhon Ka Raaz
Ab Main Samjha Uski Chamakti Huyi Aankhon Ka Raaz,
Woh Rota Nahi Magar Aansu’on Ko Qaid Kar Leta Hai
اب میں سمجھا اُس کی چمکتی ہوئی آنکھوں کا راز
وہ روتا نہیں مگر آنسوؤں کو قید کر لیتا ہے
Bus Ab Murda Samajh Kar Mujhe Roo Lo Tum
Bus Ab Murda Samajh Kar mujhe Roo Lo Tum,
Main Agar Ab Zinda Bhi Hoon Toh Tumhare Liye Nahi
Kabhi Sajde Kabhi Aansu Hazaron Koshishein
Kabhi Sajde Kabhi Aansu Hazaron Koshishein,
Lekin Jo Haq Mein Nahi Behtar Woh Rone Se Nahi Milta
Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka Toh Phir Aankhon Se
Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka Toh Phir Aankhon Se,
Boondein Chehre Pe Lahoo Ki Bhi Bikherti Hain Kabhi
ٹوٹ جائے جو بھرم دل کا تو پھر آنکھوں سے
بوندیں چہرے پہ لہو کی بھی بکھرتی ہیں کبھی
Chasm Nam Ki Daaron Se Wazu Karke
Chasm Nam Ki Daaron Se Wazu Karke,
Ik Shaks Ko Parha Hai Ayaton Ki Tarah