Ajeeb Shayari is a type of poetry that reflects on the strange and unusual aspects of life. The word "ajeeb" means "strange" or "weird" in Urdu, and this type of poetry often explores the unexpected and unconventional. Ajeeb Shayari can be surreal, imaginative, or even satirical, and it resonates with those who appreciate the unconventional and out-of-the-ordinary.
Maathey Pe Shikan Na Ho Toh Kya
ماتھے پہ شکن نہ ہو تو کیا ہو
عجیب لوگ ہیں، عجیب نظروں سے دیکھتے ہیں
Maathey Pe Shikan Na Ho Toh Kya Ho
Ajeeb Log Hain Ajeeb Nazaron Se Dekhte Hain
What difference does it make if there's no crease on the forehead?
Strange are the people who look with strange eyes.
माथे पे शिकन न हो तो क्या हो
अजीब लोग हैं, अजीब नज़रों से देखते हैं
Kitni Ajeeb Thi Dastaan e Mohabbat, Ke Aik Aankh
Kitni Ajeeb Thi Dastaan e Mohabbat,
Ke Aik Aankh Samundar Aur Dusri Pyaasi Thi
کتنی عجیب تھی داستان محبت
کہ ایک آنکھ سمندر اور دوسری پیاسی تھی
Razaye Yaar Pe Khwahish Ko Waarne Wale
Razaye Yaar Pe Khwahish Ko Waarne Wale,
Ajab Sakhi Hain Mohabbat Mein Haarne Wale
رضائے یار پہ خواہش کو وارنے والے
عجب سخی ہیں محبت میں ہارنے والے
Mohabbat Bhi Ajab Shae Hai Ke Jab Baazi Pe Aati Hai
Mohabbat Bhi Ajab Shae Hai Ke Jab Baazi Pe Aati Hai,
Toh Sab Kuch Jeet Leti Hai, Ya Sab Kuch Haar Deti Hai
Silsila e Chahat Toh Dono Ka Ajab Tha Ae Dost
Silsila e Chahat Toh Dono Ka Ajab Tha Ae Dost,
Woh Meri Jaan Chahta Tha Aur Main Jaan Se Zyaada Ussey
Ajeeb Duniya Hai Koi Chahat Ki Baat Karta
Ajeeb Duniya Hai Koi Chahat Ki Baat Karta Hai Aur Koi Chahne Ki,
Hum Toh Dono Azmaa Chuke, Na Chahat Mili Na Chahne Wala
Hum Log Bhi Kitne Ajeeb Hain, Nishaniyan Mehfoz
Hum Log Bhi Kitne Ajeeb Hain,
Nishaniyan Mehfoz Rakhte Hain Aur Logon Ko Khoo Dete Hain
Ajeeb Hai Teri Yaad Ka Silsila Bhi, Kabhi Aik Pal
Ajeeb Hai Teri Yaad Ka Silsila Bhi,
Kabhi Aik Pal Kabhi Pal Pal Kabhi Har Pal
Yeh Ishq e Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajeeb
Yeh Ishq e Mohabbat Ki Riwayat Bhi Ajeeb Hai,
Paaya Nahi Hai Jisko Ussey Khona Bhi Nahi Chahte
Teri Baaton Mein Zikr Uska Meri Baaton Mein Zikr Tera
Teri Baaton Mein Zikr Uska Meri Baaton Mein Zikr Tera,
Ajab Ishq Hai Mohsin Na Tu Mera Na Woh Tera
Wohi Ranjishein, Wohi Hasratein, Na Hee Dard
Wohi Ranjishein, Wohi Hasratein, Na Hee Dard e Dil Mein Kami Huyi
Hai Ajeeb Si Meri Zindagi, Na Guzar Saki Na Khatam Huyi
Mere Ajeeb Sawalon Ka Aik Toh Faida Hua
Mere Ajeeb Sawalon Ka Aik Toh Faida Hua
Pata Chala K Ussey Muskurana Bhi Aata Hai
Zindagi Ka Falsafa Bhi Kitna Ajeeb Hai, Shaam Katti Nahi
Zindagi Ka Falsafa Bhi Kitna Ajeeb Hai
Shaam Katti Nahi Aur Saal Guzarte Chale Jaa Rahe Hain
Hawas-e-Gul Ke Tasawar Mai Bhi Khatka
Hawas-e-Gul Ke Tasawar Mai Bhi Khatka Na Raha
Ajab Aram Diya Be-Par-o-Bali Ne Mujhe
ہوس گل کے تصور میں بھی کھٹکا نہ رہا
عجب آرام دیا بے پر و بالی نے مجھے
हवस-ए-गुल के तसव्वुर में भी खटका न रहा
अजब आराम दिया बे-पर-ओ-बाली ने मुझे
Na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
Na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajiib rang mein ab ke bahar guzri hai
نہ گل کھلے ہیں نہ ان سے ملے نہ مے پی ہے
عجیب رنگ میں اب کے بہار گزری ہے
न गुल खिले हैं न उन से मिले न मय पी है
अजीब रंग में अब के बहार गुज़री है