Allah Shayari and poetry is a genre of Urdu poetry that explores the theme of God and spirituality. The poems express devotion and reverence for Allah, as well as the beauty and majesty of His creation. Allah Shayari and poetry often employs imagery and metaphors to describe the divine and the relationship between the Creator and the created. The language used in this genre of poetry is often reverent and awe-inspiring, capturing the essence of the divine.
Lab Pe Aati Hai Dua Ban Ke
Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri
Zindagi shamma ki surat ho khudaya meri
My heart's desire becomes a prayer on my lips
May my life be like a shining flame, Oh Lord
Hawa ko khushboo mubarak
Hawa ko khushboo mubarak,
Fiza ko mausam mubarak,
Dilon ko pyar mubarak,
Aapko humari taraf se rabi-ul-awal mubarak!
Na Tujhse Na Tere Baap Se Main Darti Hun
Na Tujhse Na Tere Baap Se
Main Darti Hun Hun Toh Sirf Allah Paak Se
Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida, Kahin Ishq Ki Dekhi
Kahin ISHQ Ki Dekhi Ibtida,
Kahin ISHQ Ki Dekhi Inteha,
Kahin ISHQ Sooli Pe Charh Gaya,
Kahin ISHQ Ka Nezy Pe Ser Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Mein Gir Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Se Phirr Gaya,
Kahin ISHQ Dars e Wafa Bana,
Khain ISHQ Husn e Ada Bana,
Kahin ISHQ Ne Sanp Se Daswa Dia,
Kahin ISHQ Ne Namaz Ko Qaza Kia,
Kahin ISHQ Saife Khuda Bana,
Kahin ISHQ Shere Khuda Bana,
Kahin ISHQ Toor Per Deedar hai,
Kahin ISHQ Zibah Ko Tayar hai,
Kahin ISHQ Ne Behka Dia,
Kahin ISHQ Ne Shah e Misr Bana Dia,
Kahin ISHQ Aankhon Ka Noor Hai,
Kahin ISHQ Koh e Toor Hai,
Kahin ISHQ ‘Tu Hee Tu’ Hua,
Kahin ISHQ ‘ALLAH HOO’ Hua.
Roz e Mehshar Hisaab Kya Le Ga, Jo Mujhe
Roz e Mehshar Hisaab Kya Le Ga,
Jo Mujhe Be Hisaab Deta Hai
روزِ محشر حساب کیا لے گا
جو مجھے بے حساب دیتا ہے
احسان شاہد
100 Dum Gafil, 100 Dum Kafir By Basheer Shah
100 Dum Gafil,
100 Dum Kafir
سو دم غافل
سو دم کافر
Khawabon Ka Musafir Namazi Na Kafir
Khawabon Ka Musafir Namazi Na Kafir,
Saaiyan Yeh Bata De Kahan Hun Main Aakhir
Chalo Uss Ka Nahi Allah Ka Ehsaan Lete Hain
Chalo Uss Ka Nahi Allah Ka Ehsaan Lete Hain,
Woh Minat Se Nahi Maana Toh Mante Maan Lete Hain
Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai
Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai
Phir Andheron Mein Kar Gila Rab Kyun Ujala Nahi Hai
کر نفسی خواہیشات پوری ابھی من کالا نہیں ہے
پھر اندھیروں میں کر گلہ رب کیوں اُجالا نہیں ہے
عظیم حیدر
Allah Re Zauq-e-Dasht-Navardi Ki Baad
Allah Re Zauq-e-Dasht-Navardi Ki Baad-e-Marg
Hilte Haiñ Khud-ba-Khud Mere Andar kafan Ke Paaun
اللہ رے ذوق دشت نوردی کہ بعد مرگ
ہلتے ہیں خود بہ خود مرے اندر کفن کے پاؤں
अल्लाह रे ज़ौक़-ए-दश्त-नवर्दी कि बाद-ए-मर्ग
हिलते हैं ख़ुद-ब-ख़ुद मिरे अंदर कफ़न के पाँव
Hamara Har Kaam Asaan Hoga, Jis Din
Hamara Har Kaam Asaan Hoga
Jis Din Ka Pehla Kaam Namaz Hoga
ہمارا ہر کام آسان ہوگا
جس دن کا پہلا کام نماز ہوگا
Kitna Sukoon Deta Hai Uss Jagah Beth
Kitna Sukoon Deta Hai Uss Jagah Beth Ke Rona
Jahan Allah Ke Siwa Koi Sun’ne Wala Na Ho
کتنا سکون دیتا ہے اُس جگہ بیٹھ کے رونا
جہاں الله کے سوا کوئی سُننے والا نہ ہو
Jinki Umeed Allah Se Ho, Woh Kabhi
Jinki Umeed Allah Se Ho
Woh Kabhi Na Umeed Nahi Hote
جن کی اُمید صرف الله سے ہو
وہ کبھی نا اُمید نہیں ہوتے
Jisne Sukh Mein Apne Rab Ka Shukar Adaa
Jisne Sukh Mein Apne Rab Ka Shukar Adaa Kia
Ussne Dukh Mein Apne Rab Ko Apne Kareeb Paaya
جسنے سُکھ میں اپنے رب کا شُکر ادا کیا
اُسنے دُکھ میں اپنے رب کو اپنے قریب پایا
Tum Yahan Meri Ibadat Kia Karo, Main
Tum Yahan Meri Ibadat Kia Karo
Main Qabar Mein Tumhari Hifazat Kia Karunga
تم یہاں میری تِلاوت کیا کرو
میں قبر میں تمہاری حفاظت کیا کرونگا