Chehra Shayari and Poetry are about faces, their beauty, and their symbolism. This genre of Urdu poetry is known for its romantic and aesthetic themes that capture the essence of human faces and their impact on human emotions. The word "Chehra" means face, and the poetry of this genre revolves around the theme of beauty, love, and the expression of emotions.
Apne Chehre Pe Koi Dard Na Tehreer Karo
Apne Chehre Pe Koi Dard Na Tehreer Karo,
Waqt Ke Paas Na Aankhen Hain, Na Ehsas, Na Dil
Gulab Saare Madham Dekhayi Dete Hain
Gulab Saare Madham Dekhayi Dete Hain,
Nazar Jab Bhi Tere Chehre Ka Tawaaf Karti Hai
Chehre Pe Khushi Chaa Jaati Hai Aankhon Pe
Chehre Pe Khushi Chaa Jaati Hai Aankhon Pe Sarwar Aa Jaata Hai,
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho Apne Aap Pe Garoor Aa Jaata Hai
Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri
Dekho Yeh Kisi Aur Ki Aankhen Hain Ke Meri,
Dekhun Yeh Kisi Aur Ka Chehra Hai Ke Tum Ho
دیکھو یہ کسی اور کی آنکھیں ہیں کہ میری
دیکھوں یہ کسی اور کا چہرہ ہے کہ تم ہو
Kaun Kehta Hai Sanwarne Se Barhti Hai Khoobsurati
Kaun Kehta Hai Sanwarne Se Barhti Hai Khoobsurati,
Dilo’n Mein Chahat Hai Toh Chehre Yunhee Nikher Jate Hain
Jab Bhi Jee Chahe Nayi Duniya Basa Lete Hain
Jab Bhi Jee Chahe Nayi Duniya Basa Lete Hain,
Aik Chehre Pe Dusra Chehra Laga Lete Hain
Hazaron Chehron Ke Hote Huye Ek Tum Pe Mar Mittay
Hazaron Chehron Ke Hote Huye Ek Tum Pe Mar Mittay,
Warna Na Chahat Ki Kami Thi Na Chahne Walon Ki
Na Jaane Kaise Dukh Ka Paish Khema Kal Sabit Hua
Na Jaane Kaise Dukh Ka Paish Khema Kal Sabit Hua,
Tera Hansta Hua Chehra Meri Roti Huyi Aankhen
نہ جانے کیسے دُکھ کا پیش خیمہ کل ثابت ہوا
تیرا ہنستا ہوا چہرہ میری روتی ہوئی آنکھیں
Paish Khema = Prelude;
Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka Toh Phir Aankhon Se
Toot Jaye Jo Bharam Dil Ka Toh Phir Aankhon Se,
Boondein Chehre Pe Lahoo Ki Bhi Bikherti Hain Kabhi
ٹوٹ جائے جو بھرم دل کا تو پھر آنکھوں سے
بوندیں چہرے پہ لہو کی بھی بکھرتی ہیں کبھی
Kisi Manoos Lamhey Mein Kisi Manoos Chehre Se
Kisi Manoos Lamhey Mein Kisi Manoos Chehre Se,
Mohabbat Ki Nahi Jaati Mohabbat Ho Hee Jaati Hai
کسی مانوس لمحے میں کسی مانوس چہرے سے
محبت کی نہیں جاتی محبت ہو ہی جاتی ہے
Uss Ko Yaad Naa Hoga Hamara Chehra Bhi
Uss Ko Yaad Naa Hoga Hamara Chehra Bhi,
Tamam Shayari Hum Jis K Naam Karte Hain
Ab Is Duniya Mein Koi Aur Mujhe Dil Nahi Dene Wala Faraz
Ab Is Duniya Mein Koi Aur Mujhe Dil Nahi Dene Wala Faraz,
Log Kehte Hain Meri Aankhon Mein Uska Chehra Nazar Aata Hai
اب اس دنیا میں کوئی اور مجھے دل نہیں دینے والا فراز
لوگ کہتے ہیں میری آنکھوں میں اُس کا چہرا نظر آتا ہے
Dard e Dil Ke Siwa Mohabbat Kuch Bhi Nahi
Dard e Dil Ke Siwa Mohabbat Kuch Bhi Nahi
Tere Chehre Ke Siwa Mohabbat Kuch Bhi Nah,
Tujhe Chaha Toh Tut Ke Chaha Per Tere Liye
Deewanagi, Chahat, Wafa, Mohabbat Kuch Bhi Nahi,
Kisi Ko Chaho Toh Be Sabab Chaho, Chahne Walo
Sila Jo Maango
Zakham Jab Mere Seene Ke Bhar Jayeinge
Zakham Jab Mere Seene Ke Bhar Jayeinge
Aansu Bhi Moti Ban Ke Bikhar Jayeinge,
Yeh Mat Poochna Kisne Dard Diya
Warna Kuch Apno Ke Chehre Utar Jayeinge
Chehre Se Jhaar Peechle Baras Ki Kadurtein
Chehre Se Jhaar Peechle Baras Ki Kadurtein,
Deewar Se Puraana Calendar Utaar De