jon elia poetry, poetry jon elia, jon elia sad poetry, jon elia poetry in urdu, jon elia sad poetry in urdu, jon elia romantic poetry, jon elia love poetry, jon elia poetry sad, jon elia poetry pics,
Woh Faqt Sehen Tak Hee Aati Thi, Main Bhi
Woh Faqt Sehen Tak Hee Aati Thi,
Main Bhi Hijre Se Kam Nikalta Tha
Maine Sab Khwahishon Ko Taal Diya, Tumhe Dil
Maine Sab Khwahishon Ko Taal Diya,
Apne Dil Se Tumhe Nikal Diya
میں نے سب خواہشوں کو ٹال دیا
اپنے دل سے تمہیں نکال دیا
Jaane Kahan Basse Gi Tu, Jaane Kahan
Jaane Kahan Base Gi Tu,
Jaane Kahan Rahunga Main
جانے کہاں بسے گی تُو
جانے کہاں رہوں گا میں
Mar Gaye Khawab Sab Ki Aankhon Ke
Mar Gaye Khawab Sab Ki Aankhon Ke,
Har Taraf Hai Gila Haqeeqat Ka
مر گئے خواب سب کی آنکھوں کے
ہر طرف ہے گلہ حقیقت کا
Ehd e Rafaqat Theek Hai Lekin Mujhko Aesa Lagta Hai
Ehd e Rafaqat Theek Hai Lekin Mujhko Aesa Lagta Hai
Tum Toh Mere Sath Rahogi Main Tanha Reh Jaunga
عہد رفاقت ٹھیک ہے لیکن مجھ کو ایسا لگتا ہے
تم تو میرے ساتھ رہو گی میں تنہا رہ جاؤں گا
Woh Jo Rehti Thi Dil Muhalle Mein, Phir Woh
Woh Jo Rehti Thi Dil Muhalle Mein
Phir Woh Larki Mujhe Mili Hee Nahi
وہ جو رہتی تھی دل محلے میں،
پھر وہ لڑکی مجھے ملی ہی نہیں
Tund Lamhon Se Toot Phut Ke Main
Tund Lamhon Se Toot Phut Ke Main
Teri Baahon Mein Aan Parta Hun
تند لمحوں سے ٹوٹ پھوٹ کے میں
تیری بانہوں میں آن پڑتا ہوں
Hum Sune Aur Sunaye Jaate Thay, Raat
Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum
Ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum
Jaane ham kis ki bo-ud ka thay saboot
jaane kis ki nishaniyan thay hum
chhorte kyun na hum zameen apnī
aḳhirash asmaniyan thay hum
zarra bhar bhī na thi numud apni
aur phir bhī jahaniyan thay hum
hum na thay ek aan ke bhi magar
javedan javidaniyan thay hum
rose ik ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan thay hum
arġhavani tha vo piyala-e-naf
hum jo thay urġhavaniyan thay hum
nar-e-pistan thī vo qattala
aur havas-darmiyaniyan thay hum
na-gahan thi ik aan aan ki thi
hum jo thay nagahaniyan thay hum
ilaaj Yeh Hai Ke Majboor Kar Diya Jaaun
ilaaj Yeh Hai Ke Majboor Kar Diya Jaaun
Warna Yun Toh Kisi Ki Nahi Suni Maine.
इलाज ये है कि मजबूर कर दिया जाऊँ,
वगरना यूँ तो किसी की नहीं सुनी मैंने।
علاج یہ ہے کہ مجبور کر دیا جاؤں
ورنہ یوں تو کسی کی نہیں سُنی میں نے
Kamsani Mein Bahut Shareer Thi Woh, Ab Toh
Kamsani Mein Bahut Shareer Thi Woh
Ab Toh Shetaan Ho Gayi Hogi
کمسنی میں بہت شریر تھی وہ
اب تو شیطان ہو گئی ہوگی
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhaal Kare, Roz Ek
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhaal Kare
Roz Ek Cheez Tut Jaati Hai
کون اس گھر کی دیکھ بھال کرے
روز اک چیز ٹوٹ جاتی ہے
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane Ke Liya Hai
Jo Kuch Hai Yahan Aag Lagan Ke Liye Hai
اِک دل ہے جو ہر لمحہ جلانے کے لئے ہے
جو کچھ ہے یہاں آگ لگانے کے لئے ہے
Bala Ke Gham Uthaye Jaa Rahe Hain
Bala Ke Gham Uthaye Jaa Rahe Hain
Jafa Ke Teer Khaye Jaa Rahe Hain
Fida Karne Ko Deen e MUSTAFA (S.A.W.W) Per
ALI AKBER Sajaye Jaa Rahe Hain
Kadam Doshe Nabuwat Per Thay Jinke
Woh Kaaton Per Phiraye Jaa Rahe Hain
Jahan Be Azan Aate Thay Na Jibreel
Woh Kashaane Jalaye Jaa Rahe Hain
Bithate Thay NABI (S.A.W.W) Kandhon Pe Jinko
Woh Naizon Se Giraye Jaa Rahe Hain
Hua Tha Jaun Qaim Jinse Parda
Woh Bazaron Mein Laye Jaa Rahe Hain
Mar Chuka Hai Dil Magar Zinda Hun Main
Mar Chuka Hai Dil Magar Zinda Hun Main
Zehar Jaisi Kuch Dawayein Chaiye’en
Poochti Hain Aap, Aap Achey Toh Hain
Jee Main Acha Hun, Duayein Chaiye’en
مر چکا ہے دل مگر زندہ ہوں میں
زہر جیسی کچھ دوائیں چاہییں
پوچھتی ہیں آپ، آپ اچھے تو ہیں
جی میں اچھا ہوں، دوائیں چاہییں
Mujhse Milne Ko Aap Aaye Hain, Bethiye
Mujhse Milne Ko Aap Aaye Hain
Bethiye Main Bula Kar Laata Hun
مجھ سے ملنے کو آپ آئے ہیں ؟
بیٹھیئے میں بُلا کے لاتا ہوں