Judai Shayari and Poetry are a popular genre of Urdu and Hindi literature that beautifully captures the pain, longing, and heartbreak that comes with separation and loss. The emotional depth and poignant imagery of Judai Shayari have made it a favorite among poetry lovers worldwide. From renowned poets like Mirza Ghalib and Allama Iqbal to modern-day writers, Judai Shayari continues to inspire and move people. If you're looking for powerful words to express your feelings of separation and loss, Judai Shayari and Poetry may offer solace and comfort.
Muje Khabar Thi K Ab Laut Kar Na Aunga
مجھے خبر تھی کہ اب لوٹ کر نہ آؤں گا
سو تجھ کو یاد کیا دل پہ وار کرتے ہوئے
Muje Khabar Thi K Ab Laut Kar Na Aunga
So Tujh Ko Yaad Kiye Dil Pe Vaar Karte Hue
मुझे ख़बर थी कि अब लौट कर न आऊँगा
सो तुझ को याद किया दिल पे वार करते हुए
Tum To Hote Toh Baat Aur Thi
تم تو ہوتے تو بات اور تھی
اب کی بارش تو صرف پانی ہے
Tum To Hote Toh Baat Aur Thi
Ab Ki Barish Toh Sirf Pani Hai
If you were here, there would be a conversation
Now, this rain is only water
अगर तुम यहाँ होते, तो बात होती
अब यह बारिश सिर्फ़ पानी है
Maine Ussey Juda Ho Ke Bhi Dekha Hai
Maine Ussey Juda Ho Ke Bhi Dekha Hai,
Mohabbat Barhne Ke Siwa Kuch Nahi Hua
Mohabbatein Aur Bhi Barh Jaati Hain Juda Hone Se
Mohabbatein Aur Bhi Barh Jaati Hain Juda Hone Se,
Tum Sirf Meri Ho Is Baat Ka Khayal Rakhna
Kahan Talash Karoge Tum Mujh Jaisa Shaks
Kahan Talash Karoge Tum Mujh Jaisa Shaks,
Jo Tum Se Juda Bhi Rahe Aur Tum Se Mohabbat Bhi Kare
Khawab o Khayal Ki Saltanat Mein Hum
Khawab o Khayal Ki Saltanat Mein Hum,
Bichare Hu’on Ke Sath Bari Deir Tak Rahe
خواب و خیال کی سلطنت میں ہم
بچھڑے ہو’وں کے ساتھ بڑی دیر تک رہے
Hai Dua Hamari Sab Ko Mil Jaye Apni Apni Mohabbat
Hai Dua Hamari Sab Ko Mil Jaye Apni Apni Mohabbat,
Khuda Kisi Ko Kisi Se Juda Na Kare
Issey Zyaada Aur Kya Dard Dein Hum Apne
Issey Zyaada Aur Kya Dard Dein Hum Apne Aap Ko,
Yeh Kaafi Hai Ke Hum Tere Bin Rehne Lage Hain
Jamma Tum Ko Nahi Sakte
Jamma Tum Ko Nahi Sakte
Humain Manfi Se Nafrat Hai
جمع تم ہو نہیں سکتے
ہمیں منفی سے نفرت ہے
Dil Se Mitna Teri Angusht-e-Hinaaye Ka
Dil Se Mitna Teri Angusht-e-Hinaaye Ka Khayal
Ho Gaya Gosht Se Nakhun Ka Juda Ho Jana
دل سے مٹنا تری انگشت حنائی کا خیال
ہو گیا گوشت سے ناخن کا جدا ہو جانا
दिल से मिटना तिरी अंगुश्त-ए-हिनाई का ख़याल
हो गया गोश्त से नाख़ुन का जुदा हो जाना
Bus Ab Murda Samajh Kar Mujhe Roo Lo Tum
Bus Ab Murda Samajh Kar mujhe Roo Lo Tum,
Main Agar Ab Zinda Bhi Hoon Toh Tumhare Liye Nahi
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Uske Begair
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Uske Begair,
Jiske Hote Huye Hote Thay Zamane Mere
آج اک اور برس بیت گیا اس کے بغیر
جس کے ہوتے ہوئے ہوتے تھے زمانے میرے
आज इक और बरस बीत गया उस के बग़ैर
जिस के होते हुए होते थे ज़माने मेरे
Asooli torar jana chah pe miye tha magar
Asooli torar jana chah pe miye tha magar
Mujhe sakoon mila hai tujhe judaa kar ke
اصولی طور پہ مر جانا چاہیے تھا مگر
مجھے سکون ملا ہے تجھے جدا کر کے
Is se pahle ki be-vafa ho jaaen
Is se pahle ki be-vafa ho jaaen
Kyuun na ai dost ham juda ho jaaen
اس سے پہلے کہ بے وفا ہو جائیں
کیوں نہ اے دوست ہم جدا ہو جائیں
इस से पहले कि बे-वफ़ा हो जाएँ
क्यूँ न ऐ दोस्त हम जुदा हो जाएँ
Samundar Mai Utarta Hun Tou Ankhen
Samundar Mai Utarta Hun Tou Ankhen Bheeg Jaati Hain
Teri Ankhon Ko Parhta Hun Tou Ankhen Bheeg Jaati Hain
سمندر میں اترتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں
تری آنکھوں کو پڑھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں