Katil Shayari is a form of Urdu poetry that celebrates the beauty and power of love. It is a genre of poetry that romanticizes the intensity of love and the passion that comes with it. Katil Shayari is appreciated for its use of imagery and metaphor, which create a vivid picture of the power of love. This type of poetry resonates with those who are passionate about love and romance.
Zindagi Aa Tujhe Qatil K Hawale Kardun
Zindagi Aa Tujhe Qatil K Hawale Kardun,
Mujh Se Ab Khoon Tamana Nahi Dekha Jaata
Adaa Katil, Bayaa’n Katil, Zuba’n Katil, Nigah Katil
Adaa Katil, Bayaa’n Katil, Zuba’n Katil, Nigah Katil,
Tumhara Silsila Shayad Kisi Katil Se Milta Hai
ادا قاتل، بیاں قاتل، زباں قاتل، نگاہ قاتل
تمہارا سلسلہ شاید کسی قاتل سے ملتا ہے
Aik Waar Aur Kar K Yeh Kissa Tamaam Ho
Aik Waar Aur Kar K Yeh Kissa Tamaam Ho,
Ae Katil Yun Na Jaa Humein Sisikta Chor K
Ye Kis Ne Hum Se Lahoo Ka Khiraj Phir
Ye Kis Ne Hum Se Lahoo Ka Khiraj Phir Manga
Abhi To Soye The Maktal Ko Surkh-ru Kar Ke
یہ کس نے ہم سے لہو کا خراج پھر مانگا
ابھی تو سوئے تھے مقتل کو سرخ رو کر کے
ये किस ने हम से लहू का ख़िराज फिर माँगा
अभी तो सोए थे मक़्तल को सुर्ख़-रू कर के
Rahe Na Jaan To Katil Ko Khoon-Baha
Rahe Na Jaan To Katil Ko Khoon-Baha Dijiye
Kate Zaban To Khanjar Ko Marhaba Kahiye
رہے نہ جان تو قاتل کو خوں بہا دیجے
کٹے زبان تو خنجر کو مرحبا کہیے
रहे न जान तो क़ातिल को ख़ूँ-बहा दीजे
कटे ज़बान तो ख़ंजर को मर्हबा कहिए
Apne Katil Ki Zehanat Se Pareshan Hoon
Apne Katil Ki Zehanat Se Pareshan Hoon Mai
Roz Ek Maut Naye Tarz Ki Ijaad Kare
اپنے قاتل کی ذہانت سے پریشان ہوں میں
روز اک موت نئے طرز کی ایجاد کرے
अपने क़ातिल की ज़ेहानत से परेशान हूँ मैं
रोज़ इक मौत नए तर्ज़ की ईजाद करे
Dil Behelta Rahe Jo Katil Ka, Roz Marna
Dil Behelta Rahe Jo Katil Ka,
Roz Marna Qabool Hai Mujh Ko
Na Dhund Apne Dard Ke Dawa Dar Be Dar
Na Dhund Apne Dard Ke Dawa Dar Be Dar,
Milte Hain Yahan Katil Maseeha Ke Roop Mein
Ishq Toh Qatil Hai Bahut Masoom Logon Ka
Ishq Toh Qatil Hai Bahut Masoom Logon Ka,
Jaane Kyun Log Iss Mujrim Ko Dil Mein Panah Dete Hain
Bazm-e-Ishrat Mai Malamat Hum Nigun
Bazm-e-Ishrat Mai Malamat Hum Nigun Bakhton K Tain
Juun Hubab-e-Bada Saghar Sar-Nigun Ho Jayega
بزم عشرت میں ملامت ہم نگوں بختوں کے تئیں
جوں حباب بادہ ساغر سرنگوں ہو جائے گا
बज़्म-ए-इशरत में मलामत हम निगूँ बख़्तों के तईं
जूँ हुबाब-ए-बादा साग़र सर-निगूँ हो जाएगा
Apni Gali Mai Mujh Ko Na Kar Dafan
Apni Gali Mai Mujh Ko Na Kar Dafan Bad-e-Qatl
Mere Pate Se Khalq Ko Kyun Tera Ghar Mile
اپنی گلی میں مجھ کو نہ کر دفن بعد قتل
میرے پتے سے خلق کو کیوں تیرا گھر ملے
अपनी गली में मुझ को न कर दफ़्न बाद-ए-क़त्ल
मेरे पते से ख़ल्क़ को क्यूँ तेरा घर मिले
Raat Din Gardish Mai Hain Saat Aasman
Raat Din Gardish Mai Hain Saat Aasman
Ho Rahega Kuch Na Kuch Ghabrayen Kya
رات دن گردش میں ہیں سات آسماں
ہو رہے گا کچھ نہ کچھ گھبرائیں کیا
रात दिन गर्दिश में हैं सात आसमाँ
हो रहेगा कुछ न कुछ घबराएँ क्या
Kabhi In Ada’on Ka Zulam Kabhi In Nigahon Ka Zulam
Kabhi In Ada’on Ka Zulam Kabhi In Nigahon Ka Zulam
Wafaon Ki Kasam Tere Aashiq Na Hote Toh Tere Katil Hote Hum