Khushboo shayari and poetry captures the essence of fragrance and aroma, exploring the ways in which scent can evoke emotions and memories. This genre of shayari often describes the beauty of natural scents, such as flowers and herbs, but can also be used to describe the scent of a beloved or a specific place. Khushboo shayari is a sensory-rich genre that appeals to the senses and the emotions.
Kis Se Karein Khusboo Ka Taqaza
Kis Se Karein Khushboo Ka Taqaza,
Woh Phool Toh Ab Murjha Chuka Hai
کس سے کریں خوشبو کا تقاضہ
وہ پھول تو اب مرجھا چکا ہے
Uski Khushboo Kahin Nahi Milti
Uski Khushboo Kahin Nahi Milti,
Phool Saare Khareed Kar Dekhe Hain
Phir Yun Hua Ke Khushboo Bhi Chubne Lagi Mujhe
Phir Yun Hua Ke Khushboo Bhi Chubne Lagi Mujhe,
Dekha Jab Aik Phool Ko Phool Bechte Huye
Ghar Mein Hai Aaj Tak, Wohi Khushboo Basi Huyi
Ghar Mein Hai Aaj Tak, Wohi Khushboo Basi Huyi,
Lagta Hai Yun Ke, Jaise Woh Aa Kar Nahi Gaya
Pehle Khushboo Ke Mizajon Ko Samajh Lo Mohsin
Pehle Khushboo Ke Mizajon Ko Samajh Lo Mohsin,
Phir Gulistaan Mein Kisi Gul Se Mohabbat Karna
Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherbaan Raho
Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherban Raho
Tum Kisi Aur Ko Dekho Toh Bura Lagta Hai
Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho
Ghair Ka Hath Jo Thamo Toh Bura Lagta Hai
Arzoo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhun
Tum Mere Paas Se Utho Toh Bura Lagta Hai
Roz o Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko
Tum Kisi Aur Ko Socho Toh Bura Lagta Hai
Rooh Meri Tarasti Hai Tumhari Khushbu Ko
Tum Kahin Aur Ja Ke Meheko Toh Bura Lagta Hai
kanch ke paar tire haath nazar aate hain
kanch ke paar tire haath nazar aate hain
Kaash khushbu ki tarah rang hina ka hota
کانچ کے پار ترے ہاتھ نظر آتے ہیں
کاش خوشبو کی طرح رنگ حنا کا ہوتا
काँच के पार तिरे हाथ नज़र आते हैं
काश ख़ुशबू की तरह रंग हिना का होता
Bari Khamsohi Se Bheja Tha Gulab Usko, Per Khusboo
Bari Khamsohi Se Bheja Tha Gulab Usko, Per Khusboo
Mann Mehekta Hai Kiski Khushboo Se
Mann Mehekta Hai Kiski Khushboo Se,
Kaun Rehta Hai Phool Sa Mujh Mein
Kya maloom ke ab wo khusbhu kis Ghar ko mehkaye Gi
Kya maloom ke ab wo khusbhu kis Ghar ko mehkaye Gi
Khawab shuroo kidhar hota hoi aur kidhar mil jata hai
کیا معلوم اب وہ خوشبو کس گھر کو مہکاۂے گی
خواب شروع کدھر ہوتا ہے اور کددھر مل جاتا ہے
Dastak me koi dard ki khushbu zarur thi
Dastak me koi dard ki khushbu zarur thi
darvaza kholne ke liye ghar ka ghar uTha
دستک میں کوئی درد کی خوشبو ضرور تھی
دروازہ کھولنے کے لیے گھر کا گھر اٹھا
दस्तक में कोई दर्द की ख़ुश्बू ज़रूर थी
दरवाज़ा खोलने के लिए घर का घर उठा
Aks-e-Khushboo Hoon Bikharne Se Na
Aks-e-Khushboo Hoon Bikharne Se Na Roke Koi
Aur Bikhar Jaun To Mujh Ko Na Samete Koi
عکس خوشبو ہوں بکھرنے سے نہ روکے کوئی
اور بکھر جاؤں تو مجھ کو نہ سمیٹے کوئی
अक्स-ए-ख़ुशबू हूँ बिखरने से न रोके कोई
और बिखर जाऊँ तो मुझ को न समेटे कोई
Khushbu jaise log mile afsane men
Khushbu jaise log mile afsane men
Ek purana khat khola anjane men
خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں
ایک پرانا خط کھولا انجانے میں
ख़ुशबू जैसे लोग मिले अफ़्साने में
एक पुराना ख़त खोला अनजाने में
Wo To Khushboo Hai Hawaon Mai
Wo To Khushboo Hai Hawaon Mai Bikhar Jayega
Masla Phool Ka Hai Phool Kidhar Jayega
وہ تو خوش بو ہے ہواؤں میں بکھر جائے گا
مسئلہ پھول کا ہے پھول کدھر جائے گا
वो तो ख़ुश-बू है हवाओं में बिखर जाएगा
मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा