Life shayari and poetry explore the various facets of human existence, the ups and downs, joys and sorrows, love and loss, and the journey of life itself. These poetic expressions often serve as a source of inspiration, comfort, and introspection, connecting readers with the deeper meanings and experiences of life.
Dard-e-dil ke waste paida kiya
Dard-e-dil ke waste paida kiya insaan ko
Warna ta'at ke liye kuchh kam na they khuda ko
Raabte Kam Hote Hote, Aakhir Khatam Ho Jaate Hain
Raabte Kam Hote Hote,
Aakhir Khatam Ho Jaate Hain
Lehjon Se Zaahir Ho Hee Jaata Hai
Lehjon Se Zaahir Ho Hee Jaata Hai,
Raabton Se Bezaar Hain Log
Dekh Mat Cher, Chilak Jaye Na Pemaana e Sabr
Dekh Mat Cher, Chilak Jaye Na Pemaana e Sabr,
Hum Zamane Ke Rawiyon Se Bhare Bethey Hain
Poochte Kya Ho Zindagi Ka Ae Mohtaram
Poochte Kya Ho Zindagi Ka Ae Mohtaram,
Mujh Pe Guzari, Guzaar Dee Maine
Lamhon Ke Ta’aqab Mein, Guzar Jayein Gi Sadiyaan
Lamhon Ke Ta’aqab Mein,
Guzar Jayein Gi Sadiyaan
Hai Tabassum Hamare Lub Pe Abhi
Hai Tabassum Hamare Lub Pe Abhi,
Hum Kahan Zindagi Se Haare Hain
Guzar Jaye Toh Lamha, Guzarna Pare Toh Muddat
Guzar Jaye Toh Lamha,
Guzarna Pare Toh Muddat
Thukra Diya Jinho’n Ne Mujhe Mera Waqt Dekh Kar
Thukra Diya Jinho’n Ne Mujhe Mera Waqt Dekh Kar,
Aesa Waqt Laaunga Milna Parega Mujhse Mera Waqt Le Kar
Kin Lafzon Mein Bayaan Karun Apne Dard Ko Main
Kin Lafzon Mein Bayaan Karun Apne Dard Ko Main,
Sun’ne Wale Toh Bahut Hain, Samajhne Wala Koi Nahi
Phir Yun Hua Ke Khushboo Bhi Chubne Lagi Mujhe
Phir Yun Hua Ke Khushboo Bhi Chubne Lagi Mujhe,
Dekha Jab Aik Phool Ko Phool Bechte Huye
Zindagi Aa Tujhe Qatil K Hawale Kardun
Zindagi Aa Tujhe Qatil K Hawale Kardun,
Mujh Se Ab Khoon Tamana Nahi Dekha Jaata
Waqt Woh bhi Guzar Gaya
Waqt Woh bhi Guzar Gaya,
Waqt Yeh Bhi Guzar Jayega
Kisi Ne Dhool Kya Aankhon Mein Jhonki
Kisi Ne Dhool Kya Aankhon Mein Jhonki,
Main Ab Pehle Se Behtar Dekhta Hun
کسی نے دُھول کیا آنکھوں میں جھونکی
میں اب پہلے سے بہتر دیکھتا ہوں
Iss Qadar Yaad Hai Apne Saath Thay Sab Hee
Iss Qadar Yaad Hai Apne Saath Thay Sab Hee,
Kisne Kya Chaal Chali, Yaad Nahi