Muqaddar Shayari is a form of Urdu poetry that deals with the themes of fate and destiny. It is a genre of poetry that explores the human experience of accepting the unpredictability of life. Muqaddar Shayari is appreciated for its philosophical depth and introspection, which make it a popular genre among poetry lovers who seek meaning and understanding in their lives.
Jis ki tabeer hai pahle hi se reza
جس کی تعبیر ہے پہلے ہی سے ریزہ ریزہ
ایسے اک خواب کو آنکھوں سے لگا رکھا ہے
Jis ki tabeer hai pahle hi se reza reza
Aesy ek khuwab ko ankhon se laga rakha hai
The interpretation of which has been shattered already
A dream like that has been held in the eyes
जिस की ताबीर है पहले ही से रेज़ा रेज़ा
ऐसे एक ख्वाब को आँखों से लगा रखा है।
Jin Aankhon Ko Sajdon Mein Rone Ki Aadat Ho
Jin Aankhon Ko Sajdon Mein Rone Ki Aadat Ho,
Woh Aankhen Kabhi Apne Muqaddar Per Roya Nahi Kartien
جن آنکھوں کو سجدوں میں رونے کی عادت ہو
وہ آنکھیں کبھی اپنے مقدر پر رویا نہیں کرتیں
Bus Khatam Kar Yeh Baazi Ishq Ghalib
Bus Khatam Kar Yeh Baazi Ishq Ghalib,
Muqaddar Ke Haare Kabhi Jeeta Nahi Karte
Palkon Ko Gham e Hijr Ne Aram Na Baksha
Palkon Ko Gham e Hijr Ne Aram Na Baksha,
Aankhon Se Nahi Neend Muqaddar Se Uri Hai
پلکوں کو غمِ ہجر نے آرام نہ بخشا
آنکھوں سے نہیں نیند مقدر سے اُڑی ہے
Sirf Aankhon Ko Dekh Kar Karlee Tum Se Mohabbat
Sirf Aankhon Ko Dekh Kar Karlee Tum Se Mohabbat,
Chor Diya Apne Muqaddar Ko Tere Naqaab Ke Peechay
صرف آنکھوں کو دیکھ کر کرلی تم سے محبت
چھوڑ دیا اپنے مقدر کو تیرے نقاب کے پیچھے
Teri Chahat Toh Muqaddar Hai, Mile Na Mile
Teri Chahat Toh Muqaddar Hai, Mile Na Mile
Rahat Zarur Mil Jaati Hai Tujhe Apna Soch Kar
Dard Toh Muqaddar Tha, Tum Faqt Zariya
Dard Toh Muqaddar Tha,
Tum Faqt Zariya Thay
Baat Muqaddar Pe Aa Kar Ruki Hai Warna
Baat Muqaddar Pe Aa Kar Ruki Hai Warna,
Koi Kasar Toh Na Chori Thi Tujhe Chahne Mein
Baat muqadar ki hai saari bukht ka likha marta hai
Baat muqadar ki hai saari bukht ka likha marta hai
Kuch sajdon mein mar jate hai kuch ko sajda marta hai
بات مقدر کی ہے ساری بخت کا لکھا مارتا ہے
کچھ سجدوں میںمر جاتے ہیں،کچھ کوسجدہ مارتاہے
Aap Ek Zahmat-e-Nazar Toh Karen
Aap Ek Zahmat-e-Nazar Toh Karen
Kaun Be-hosh Ho Nahi Sakta
آپ اک زحمت نظر تو کریں
کون بے ہوش ہو نہیں سکتا
आप इक ज़हमत-ए-नज़र तो करें
कौन बेहोश हो नहीं सकता
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla
Kitna Ajeeb Apni Zindagi Ka Safar Nikla
Saare Jahan Ka Dard Apna Muqaddar Nikla
Jiske Naam Apni Zindagi Ka Har Lamha Kar Diya
Afsos Wohi Hamari Chahat Se Bekhabar Nikla