Neend shayari and poetry is a genre of Urdu literature that explores the theme of sleep and rest. This type of poetry often delves into the restorative power of sleep, exploring themes such as relaxation, peace, and rejuvenation. Neend shayari can be a powerful tool for those seeking to express their desire for rest and to connect with others who share a similar need for sleep and relaxation.
Koi ummid bar nahi aati
کوئی اُمّید بر نہیں آتی
کوئی سورت نظر نہیں آتی
موت کا ایک دن مُعین ہے
نیند رات بھر کیوں نہیں آتی
Koi ummid bar nahi aati
Koi surat nazar nahi aati
Maut ka ek din muayyan hai
Neend raat bhar kyun nahi aati
कोई उम्मीद बर नहीं आती
कोई सूरत नज़र नहीं आती
मौत का एक दिन मुऐय्यन है
नींद रात भर क्यूँ नहीं आती
Neend Aayi Na Raat Bhar Mujhko, Khawab Bethey
Neend Aayi Na Raat Bhar Mujhko,
Khawab Bethey Rahe Qataron Mein
Sitaaro Tum Toh Soh Jao, Pareshan Raat Saari Hai
Sitaaro Tum Toh Soh Jao,
Pareshan Raat Saari Hai
Dil Ki Yeh Hasrat Thi Tujhe Dekheinge Khawabon Mein
Dil Ki Yeh Hasrat Thi Tujhe Dekheinge Khawabon Mein,
Na Neend Aayi, Na Tum Aaye, Guzar Gayyi Raat Yaadon Mein
Ek Roz Hum Aese Soyeinge, Ke Jhagne Wale
Ek Roz Hum Aese Soyeinge,
Ke Jhagne Wale Bhi Royeinge
Phir Teri Yaad Mein Aankhen Huyi Shabnam Shabnam
Phir Teri Yaad Mein Aankhen Huyi Shabnam Shabnam,
Phir Wohi Neend Na Aane Ke Zamane Aaye
Mohabbat Mili Toh Neend bhi Apni Na Rahi Faraz
Mohabbat Mili Toh Neend Bhi Apni Na Rahi Faraz,
Gumnaam Zindagi Thi Toh Kitna Sukoon Tha
Soh Jao Mohsin Koi Sukha Hua Patta Hoga
Soh Jao Mohsin Koi Sukha Hua Patta Hoga,
Tere Aangan Mein Kahan Unke Kadam Aate Hain
Sirhane ‘Mir’ K Koi Na Bolo
Sirhane ‘Mir’ K Koi Na Bolo
Abhi Tuk Rote Rote So Gaya Hai
سرہانے میرؔ کے کوئی نہ بولو
ابھی ٹک روتے روتے سو گیا ہے
सिरहाने ‘मीर’ के कोई न बोलो
अभी टुक रोते रोते सो गया है
Jab Se Para Hai Teri Nigahon Se Waasta
Jab Se Para Hai Teri Nigahon Se Waasta,
Aati Nahi Hai Neend Sitaron Se Pooch Lo
جب سے پڑا ہے تیری نگاہوں سے واستا
آتی نہیں ہے نیند ستاروں سے پوچھ لو
So bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai
So bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai
Ab to rah rah ke sitaron ko bhi niind aati hai
سو بھی جا اے دل مجروح بہت رات گئی
اب تو رہ رہ کے ستاروں کو بھی نیند آتی ہے
सो भी जा ऐ दिल-ए-मजरूह बहुत रात गई
अब तो रह रह के सितारों को भी नींद आती है
Na luta Din Ko To Kab Raat Ko Yun
Na luta Din Ko To Kab Raat Ko Yun Be-Khabar Sota
Raha Khatka Na Chori Ka Dua Deta Hun Rahzan Ko
نہ لٹتا دن کو تو کب رات کو یوں بے خبر سوتا
رہا کھٹکا نہ چوری کا دعا دیتا ہوں رہزن کو
न लुटता दिन को तो कब रात को यूँ बे-ख़बर सोता!
रहा खटका न चोरी का दुआ देता हूँ रहज़न को
Sukoon De Na Saki Rahatein Zamane Ki
Sukoon De Na Saki Rahatein Zamane Ki,
Jo Neend Aayi Tere Gham Ki Chaon Mein Aayi
Uss Shaks Se Bus Itna Sa Taluq Hai, Woh
Uss Shaks Se Bus Itna Sa Taluq Hai,
Woh Pareshan Ho Toh Humein Neend Nahi Aati
Jo Muyasir Ho Teri Deed Roz Khawabon Mein
Jo Muyasir Ho Teri Deed Roz Khawabon Mein,
Ba Khuda Neend Ko Main Apna Sahara Kar Lu
جو میسر ہو تیری دید روز خوابوں میں
با خدا نیند کو میں اپنا سہارا کرلوں