Wafa Shayari and Poetry express the sentiments of loyalty, faithfulness, and dedication in love. It is a popular genre of Urdu poetry that beautifully captures the pain of betrayal and unrequited love. The word "Wafa" means faithfulness, and the poetry of this genre revolves around the theme of loyalty and dedication to one's beloved.
Dhal gaya hijr ka din
ڈھل گیا ہجر کا دن
راہِ وفا میں کوئی بات ہو گئی
Dhal gaya hijr ka din
Raah-e-wafa mein koi baat ho gayi
The day of separation has come to an end
Something has been said on the path of loyalty
ढल गया हिज्र का दिन
राह-ए-वफ़ा में कोई बात हो गई
Kuch Waqt Ki Rawaani Ne Humein Yun Badal Diya
Kuch Waqt Ki Rawaani Ne Humein Yun Badal Diya,
Wafa Per Ab Bhi Qaim Hain Magar Mohabbat Chor Dee Hum Ne
Pyaar Woh Gunaah Hai Jo Karte Toh Sab Hain
Pyaar Woh Gunaah Hai Jo Karte Toh Sab Hain,
Magar Saza Akser Wafa Karne Walon Ko Milti Hai
Duniya Meri Wafaon Ka Sila De Chuki
Duniya Meri Wafaon Ka Sila De Chuki Mujhe,
Laa Tu Bhi Mera Khaloos Mere Munh Pe Maar Dey
Hum Ko Un Se Wafa Ki Hai Umeed
Hum Ko Un Se Wafa Ki Hai Umeed
Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai
ہم کو ان سے وفا کی ہے امید
جو نہیں جانتے وفا کیا ہے
हम को उन से वफ़ा की है उम्मीद
जो नहीं जानते वफ़ा क्या है
Karega Hamari Bhi Kadar Zamana Aik Din
Karega Hamari Bhi Kadar Zamana Aik Din,
Bus Wafa Ki Buri Aadat Choot Jaane Doh
Suna Hai Bik Raha Hai Ishq Bazar Mein Aaj
Suna Hai Bik Raha Hai Ishq Bazar Mein Aaj,
Jao Uss Ishq Farosh Se Pocho Wafa Bhi Sath Dete Ho
Mohabbat, Chahat, Wafa Kuch Bhi Nahi
Mohabbat, Chahat, Wafa Kuch Bhi Nahi
Zindagi Gham Ke Siwa Kuch Nahi Hai,
Tumhare Paas Mere Siwa Sab Kuch Hai
Mere Paas Tumhare Siwa Kuch Bhi Nahi
Lena Parega Ishq Mein Tark e Wafa Se Kaam
Lena Parega Ishq Mein Tark e Wafa Se Kaam,
Parhez Iss Marz Mein Hai Behtar Ilaaj Se
Badal Jaate Hain Log Tanhaiyon Mein Akser
Badal Jaate Hain Log Tanhaiyon Mein Akser,
Mohabbat Karke Bhi Kisi Se Jab Wafa Nahi Milti
Lafz Wafa Se Ab Woh Tasir Na Kar Qabool
Lafz Wafa Se Ab Woh Tasir Na Kar Qabool,
Is Aam Fehem Lafz Ke Maani Badal Gaye
Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida, Kahin Ishq Ki Dekhi
Kahin ISHQ Ki Dekhi Ibtida,
Kahin ISHQ Ki Dekhi Inteha,
Kahin ISHQ Sooli Pe Charh Gaya,
Kahin ISHQ Ka Nezy Pe Ser Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Mein Gir Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Se Phirr Gaya,
Kahin ISHQ Dars e Wafa Bana,
Khain ISHQ Husn e Ada Bana,
Kahin ISHQ Ne Sanp Se Daswa Dia,
Kahin ISHQ Ne Namaz Ko Qaza Kia,
Kahin ISHQ Saife Khuda Bana,
Kahin ISHQ Shere Khuda Bana,
Kahin ISHQ Toor Per Deedar hai,
Kahin ISHQ Zibah Ko Tayar hai,
Kahin ISHQ Ne Behka Dia,
Kahin ISHQ Ne Shah e Misr Bana Dia,
Kahin ISHQ Aankhon Ka Noor Hai,
Kahin ISHQ Koh e Toor Hai,
Kahin ISHQ ‘Tu Hee Tu’ Hua,
Kahin ISHQ ‘ALLAH HOO’ Hua.
Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa
Na Chahat, Na Mohabbat, Na Ishq Aur Na Wafa,
Kuch Bhi Nahi Tha Us Shaks Ke Paas Siwaye Husn Ke
Maine Kab Manga Hai Tumse Apni Wafaon Ka Sila
Maine Kab Manga Hai Tumse Apni Wafaon Ka Sila,
Bus Dard Dete Raho, Mohabbat Barhti Rahegi
Hum Jinhein Chahte Hain Woh Humein Chahte Bhi Nahi
Hum Jinhein Chahte Hain Woh Humein Chahte Bhi Nahi,
Auron Se Wafa Karte Hain Aur Humein Tukrate Bhi Nahi